ahl-e-dil ko jhuka kar kabhi nazar dekh lo
kam-az-kam ek nazar kabhi idhar dekh lo
saath raho shab-o-roz hamaare aashiyaane meiN
saath mere tum kabhi seher dekh lo
savaal-e-qaamat-e-ulfat ka kya javaab dooN
kuchh aisa karo, kabhi behr dekh lo
maana dil raqeeboN ke mujhse kuchh bade haiN
zaraa nazariyaa badlo, kabhi jigar dekh lo
ya sogavaar raho murda ulfat ke peechhe tum
ya paas mere aao, kabhi amar dekh lo
meanings
ahl-e-dil >> the romantics
kam-az-kam >> at least
shab-o-roz >> night and day
savaal-e-qaamat-e-ulfat >> the question about the stature/intensity of love
behr >> sea
raqeeboN >> rivals in love, other men
sogavaar >> mournful
murda >> dead
ulfat >> love
Saturday, June 30, 2007
Subscribe to:
Posts (Atom)