Friday, July 13, 2007

haaye re haal-e-dil



haaye re haal-e-dil
kaisa yeh savaal-e-dil

hum jaaN sambhaaleiN
ya fir sambhaaleiN dil

dekhi meri soorat usne
na dekha jamaal-e-dil

dekho ab jurrat iski
dekho ab majaal-e-dil

siyah raat roshan huyi
jal gayi mashaal-e-dil


meanings
haal-e-dil >> plight of the heart
savaal-e-dil >> questions of the heart
jamaal-e-dil >> beauty of the heart
jurrat >> boldness, daring
siyah >> black, dark
roshan >> ablaze, illuminated
mashaal-e-dil >> torch of the heart

Wednesday, July 4, 2007

khil ke saman ki tarah dikha do

khil ke saman ki tarah dikha do;
ek baar mere liye muskura do.

yun kishton mein maar kar kya fayda;
rukh dikha do aag laga do.

kaun kehta hai tumse ke jawaab do;
bas labon ko ek zara hila do.

badal ke rakh do takdeer meri;
sahir ungliyan apni fira do.

kis mitti se banayi gayi ho;
na dikhao na sahi, bata do.

saman>>flower, rose
kishton>>instalments
rukh>>face
labon>>lips
sahir>>magician